iss dil ka thikana samjh mein nahi aata

kabhi zami kabhi aasman, samjh mein nahi aata,
iss dil ka thikana bhi, samjh mein nahi aata,

meri aankhein uski yaadon ke chirag to nahi,
kyun bas wahi nazar, samajh mein nahi aata.

chahe anchahe mein usse yaad kiya karta hoon,
yeh lat hai ya aadat, samajh mein nahi aata.

kamabakhat aashiqi ne jeena haram kar diya,
usse bhoolun ya apni jaan doon, samajh mein nahi aata.

iss taraf mera ghar hai us taraf uska ghar,
idhar jaun ya udhar, samajh mein nahi aata.

pagal sa banke reh gaya sab soch soch kar,
pehle hansu ya roun, samajh mein nahi aata.

liffafa fat chuka, mamla bhi kafi purana ho gaya,
usse doon ya khat jala doon, samajh mein nahi aata.

uski wafa pe ab mujhe shaq hone laga hai,
usse yaar kahun ya gaddar, samajh mein nahi aata.

gairon ke sath baithe hain ajeej-o-mohtarma,
kaise karun dua-salam, samajh mein nahi aata.

iss uljhe dil ko yaaon, kuch aur na samajh,
phir khud samajh jayega, jo samajh mein nahi aata.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts