unki chaahat se roshan dil ka kona-kona tha,
mehakti thi saansein jab meri
har mahina sawan ka mahina tha.
unki muskurahaton ke phool khila karte the,
unki jheel si aankhon mein doobta
dil mera ek kaagaz ka naau tha.
unke chamak se chaand bhi khes khata tha,
rakhte the chupakar duniya ki nazron se jinko
woh ek aisa anmol nagina tha.
unki aankhein dekh kar gham gayeb ho jate the,
dekhte the apne pyar ka darpan jismein hum,
woh aisa ek dilkash aaina tha.
phir wohi hua jo hota aaya hai...
tord diya dil mera unhone
aakhir unke liye yeh mehaz ek khilona tha.

No comments:
Post a Comment