yeh paagal dil hai jo intezaar kiya karta hai

dil ko malum hai tu nahi ayegi kabhi, 
yeh paagal dil hai jo intezaar kiya karta hai,

berukhi teri humne dekhi hai phir bhi, 
dil tujhe pagaalon jaisa pyaar kiya karta hai,

tu hi tu kyun humein bhaati hai,
iss baat se dil pareshan kiya karta hai,

suna tha pyaar andha hota hai jahaan walon se,
tujh ko chahaa hai to aitbaar yeh dil kiya karta hai,

tu chahe ya na chahe humein,
phir bhi dil tujhe diwaano sa pyaar kiya karta hai,

pyaar karna kisi ke, bas mein nahi hai,
esliye dil deke duhaai zamaana, diya karta hai,

raaj ne pyaar sirf tujhse kiya yeh tujhe malum hai,
phir kyun humein begaano mein shumaar kiya karta hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts