mere dil ka khaali kona badhta jaa raha

mere dil ka khaali kona badhta jaa raha hai,
iss par se mera haq hat-ta jaa raha hai,

dar tha mujhe jis baat ka ki hoga yehi,
woh pal door se hi paas dikhta jaa raha hai,

jis baat ka andaja laga tha pahale hi,
uss sach se bhi dil kyu darta jaa raha hai,

hans kar taal jaati thi sachyi ko saamne se,
ki uss sach ka rang gehra hota jaa raha hai,

main nahi jaanta kya hoga anjaam iska,
iske pahle se hi dar badhta jaa raha hai,

sochta hoon maun ho jaana hoga achha,
kya kare ki ab maun bhi jee churaata jaa raha hai,

hansi aati nahi, kaise chupaun dard ko
yeh soch-soch ke apna dil doobta jaa raha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts