ek baar humme aya nyota rahiso ki party ka,
jhat taiyar hue hum pehan suit bhai ke sadi ka.
phate purane jooton ko dekar ke naya roop,
deo laga kar itminan se nikhara apna roop,
chala kar apna scooty hum club mein the padhare,
andar pahoonch kar humne jo nazara dekha,
samaj na aaya kaun thi ladki kaun tha ladka,
himmat kar kar hum kuch aur andar ko padhare,
ek joomti hui jawan mahila se takraye,
hum apni nadani se thar thar the kaape
lekin humme dekh kar woh kyoon kar ghabrate,
hothon ki lipstick unki aur adhik rang laayi,
do second ke andar mere chehre par jo chayi,
hayee re.. ghabra kar hum andar ki aur bhage,
dekh wanha ki raunak mann hi man sharmaye,
ke pi-kar sab masti mein aise jhoom rahe the,
kaise batayein kaun kissse kanha choom rahe the,
aage jo nazare dekhe wey kuch nahin the achey,
murder picture ka khel khel rahe the rahiso ke bache,
ek bana tha imraan hasmi aur ek bani thi mallika,
ithni si umar mein haathon par sharab tha chalka,
ladki ne ladke se kaha aisa kyoon na ho jaaye,
hum tum ho kamre mein band aur chabhi kho jaaye,
aisi raunak aaj tak humne kahi na dekhi,
sach to hai.. bharat kar raha kithni oonati,
aur adhik kuch dekhne ke liye hum na ruke the,
sach kehta hoon pal bhar ke liye bhi hum na tikke the,
bahar aakar hamari nazar jis aur uthi thi,
footpath par ek nirdhan maan ki kismat usse roothi thi,
baal the uske bikhre huye aur bahon mein thi uski mamta,
pata nahi aur kya dukh sehne usne janam liya tha,
ek taraf to chal raha tha masti ka hahakar,
ek taraf chilla rahi thi daridrata ki pukar,
hey bhagwan kaisa tune yeh sansar banaya,
kyun tune ek ko ameer aur ek ko nirdhan banaya?
lekar bozil mann hum wapas ghar ka laute,
sach kehta hoon raat bhar bilkool na so sake,
subah uth kar sabse pahle khayi yahi kasam,
aaj se aise partyaan kabhi na attend kare hum