teri zindaagi ki kitab se mujhe jaane kisne mita diya,
meri rooh kisne chord di, mere dil ko kisne tord diya,
jise bhoolne mein maine apni aadhi umr guzar di,
ussi ek shaks ki dastaan koi yaad phir se dila gaya,
mere dil ka ek woh aaiyna jisse maine ulat ke tha rakha,
ussi aaiyne ko dikha ker, mere aks ko kyon jala diya,
karun kis khuda se shikayatein, karun kya sawaal main aapse,
yeh naseeb tha ya mazak tha, kyon tumne mujhko bhula diya,
kisi raste ke pathar sa mujhe raste se huta diya,
mere doston ne wafaaon ka kuch is kadar se sila diya,
aye raaj tumne yeh daastan in khandharon mein sunayi kyon,
mujhe gum hai mere fasaane ne inn patharon ko rula diya !

No comments:
Post a Comment