har kadam har mord par pareshaniyan kyun hain

kuch to bata aye zindagi yeh hairaniyan kyun hain,
har kadam har mord par pareshaniyan kyun hain,

aanshuon ke dhare aur mayoosi ka andhera hai,
har pal zindagi mein ghumon ki meharbaniyan kyun hain,

har taraf tannhaiyan, har taraf mayoosiyan mili,
iss bhari duniya mein mere liye veeraniyan kyun hain,

maine to abhi aaghaz kiya hai zindagi ka,
phir khatm-si hoti huyi yeh kahaniyan kyun hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts