zindagi tujhse bahut door chala aaya hoon,
khwaab mein bhi mere ek tanaha si tanahai hai,
na koi saya na majhi na hi humraah koi,
bekhudi jaane mujhe aaj kanha laayi hai,
suna diya humein kisi ajnabi ka afsaana,
asal jo baat thi woh baad mein batayi hai,
dard ki saari hadein paar kar chuka hoon main,
khud apne haathon maine har shama bhujhayi hai,
ajeeb baat hai raaj tu usko bhool jaata hai,
jafa bhi jisne teri bawafa nibhayi hai,
purane chehre naye daur mein bhi zinda hai,
na jaane usne kitni keematein chukayi hai,
sukun ki baat pe ab mujhko hassi aati hai,
kuch iss kadar se humne dil pe chot khayi hai,
bahut haseen tha woh waqt saath thi jab tu
ussi ko soch ke aankhon mein nami aayi hai.

No comments:
Post a Comment