aakhir kyun... aksar

kyun jeene ka humein dena pardta hai kar... aksar!
kyun papitton ki tarah kat-te hain logon ke sar... aksar!

kyun insaano mein insaniyat jati hai marr... aksar!
kyun jala diye jate hain garibon ke ghar... aksar!

kyun zulm dekh samay jata hain thehar... aksar!
kyun pariyon ke katar diye jate hain par... aksar!

kyun tabah ho jate hain sahar ke sahar... aksar!
kyun kanth tak aake ruk jate hain swar... aksar!

kyun jeevan mein peena pardta hai zehar... aksar!
kyun iss jahan mein jeena ho jata hai dubhar... aksar!

kyun bacchon ke badan ho jate hain budhon se jarjar... aksar
kyun aatank ban jata hai shanti ka sauhar... aksar!

kyun dil mein basa rehta hai koi darr... aksar!
kyun aashiqon ke hi tuta karte hain jigar... aksar!

kyun acche logon ko milta hai ghayal hone ka war... aksar!
sab dekh ke bhi khuda tu kyun naa barpaye kehar... aksar!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts