jo khawaab tha aankhon mein woh kyun simat raha hai

dil se naa jaane kyun ek naam mit raha hai,
jo khawaab tha aankhon mein woh kyun simat raha hai,

tumse wafa nibhakar hasil yahi hua hai,
aankhon ke pass se kuch tannha gujar raha hai,

humpar karam kiya hai yeh dard jo diya hai,
aankho se ashk bankar ehassa utar raha hai,

fitarat yeh dil bhi jaane tujhse kya sikh aaya,
mera hi hoke mujhko badnaam kar raha hai,

duba hua sa kuch to humko bula raha hai,
dil to nahi hai mera fariyaad kar raha hai,

jane kaha pe tumko yeh waqt chhord aaya,
safr-e-zindagi ab to tannha hi kat raha hai,

dil ek baar phirse yun tord ke phir jurde naa,
aye bewafa mere dil ka har zakhm bhar raha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts