door tumse ho to gaye hain tumhare hi kehne par

tumne humse ki hai bewafai 
dil ko yeh batayenge hum,
magar ruthkar tujhse oh jana 
aur kaha ja payenge hum.

door tumse ho to gaye hain 
tumhare hi kehne par,
magar yeh duniya aur kya woh duniya 
kahi chain nahi payenge hum.

maan kar aapne dil ka kaha 
yeh rog lagaya umr bhar ka,
aisa dekh mohabbat ka sila 
ab kabhi dil nahi lagayenge hum.

maana ki jeena hai mushkil 
bin tumhare mere oh sanam,
magar yeh bhi hai ki bin tere 
marr to nahi jayenge hum.

tujh mein naa thi koi kami 
kami to mujh mein thi shayad,
humne hi ki hogi koi khata 
yuh dil ko samjhaenge hum.

kaise honge woh log yahan 
jo sharab se gham ko bhulate hain,
zeher bhi pee le chahe sanam 
tujhko na bhula paayenge hum.

dil ne socha tha yeh kabhi 
sang tere manzil hum paayenge,
tumne to raah mein chord diya 
ab hasratein kaise mitayenge hum.

ab baad tere mere charo taraf 
andhere hi andhere hai saathi,
karne na roshni koi aayega to 
dil aapna hi jalaenge hum.

tumne thukraya humko kyon 
kyon humse naata tord liya,
yeh afsaana poochega koi jo 
suna kisi ko na paayenge hum.

tere saath beetaye the jo pal 
bas unhi mein hum to jee liye,
ab bin tere yuh marr-marr ke 
yeh zindagi bitayenge hum.

raaj ko nahi hain yeh pasand 
khele koi uske dil se ab yahan,
teri bewafai ke baad isko 
kaise duniya mein rok paayenge hum.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts