nahi hai iss tannhai ka koi dawa-khaana

tannha hoon aaj main
phir tannha hai saara zamana,
o duniya waalo...
nahi hai iss tannhai ka koi dawa-khaana.

zehar bhi nahi milta jo mangta hoon usse,
nakamiyon ka hoon manzer
hoon ghum ka ek fasaana.

labo se aaj mere phir nikalti hai thandi aahein,
chehre pe udaasi...
ashko ka sawan phir se umard aaya.

gairo ke dard ko bhi hum to apna bana lete hain,
magar yeh kya hua sathi,
tune hi humein khanzer maara,

tannha hoon aaj main
phir tannha hai saara zamana,
o duniya waalo...
nahi hai is tannhai ka koi dawa-khana.

rota hoon magar phir bhi sakoon nahi milta,
ghum-e-lashkar dekh in zalimon ki
duniya mein zeher bhi nahi milta.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts