har shaayar ki yahi to pahechaan hai

zakhmi hai dil mera, zakhmi jaan hai,
phir bhi tute dil mein tera armaan hai,

puccho na mere zakhmo ki shidat koi,
har ek ashk ki apni koi daastaan hai,

hai mohabbat ki hi ye sab nishaniyaan,
paaon mein chhaale, lab pe muskaan hai,

hai dohraate tere zulm ki kahaaniyaan,
ashkon ke gaalon par jo nishaan hai,

khushiyaan aangan se hi laut jaati hai,
gham ghar mein jo mere mehmaan hai,

chum kar chahere ko tere jo gujre hain,
aaiyne ab tak woh sabhi pareshaan hain,

ab bhi umeedon pe kaayam hai duniya,
ujarde sehar mein bhi to aasmaan hai,

laakh chupaaye bhi na chhupegi kabhi,
har shaayar ki yahi to pahechaan hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts