jalne lagi lahoo mein judai to roo diye,
tanhaion ne khaak urdai to roo diye,
chehre mein tera roug chupaya aur hass diye,
aankhon ne teri yaad manaai to roo diye,
khushboo ne koi yaad dilayi, tardap uthe,
phoolon ne dastaan sunaayi to roo diye,
guzra hai hum pe khud yehi aalam iss liye,
hassne lagi kisi pe khudaai to roo diye,
raas aa chuki thi zakhme dil kuch iss qadar,
gar shamma bhi kisi ne jalaai to roo diye.

No comments:
Post a Comment