dekh kar apni khudaye woh bhi zor se roya hoga.

aaj mujhko huwa yaakeen, 
ke khuda bhi kahi soya hoga.
dekh kar apne khudaye,
woh bhi zor se rooya hoga.

socha na hoga usne ke,
zameen par kal aisa bhi hoga.
bhai-bhai ko marr ke,
khoon ke chadar pe soya hoga,
dekh kar apni khudaye,
woh bhi zor se roya hoga.

jaha dilon mein kal basti thi mohabbat,
waha aaj nafrat ka saaya hoga.
dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga.

jaha kal mar mit-te the log ek dujhe par,
wahi aaj har maut par ek jhoota wada hoga.
dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga.

jaha kal sar jhuka karte the sirf ebadat mein,
kya pata tha usko ke kal kaha uska nisha hoga,

dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga. 

jaha chorde the kal usne aasma se lakho taare,
kya patta usse ki kal unka bhi imaan marra hoga

dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga. 

jis mitti ko socha tha usne ke uske waha mandir hogi,
kya pata tha usse ke kal ussi mitti par shamshan hoga,

dekh kar apni khudaye, woh bhi zor se roya hoga. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts