jaise jaise waqt beeta zakhm humein poorane mile

bherd mein charon taraf chehare anjaane mile,
mere apne aaj mujhse banke begaane mile,

tha bharosa doston par itna ki mujhse na pooch,
jinke hathon mein the patthar log pehchane mile,

banke marham waqt hi bharta hai har ek zakhm ko,
jaise jaise waqt beeta zakhm poorane mile,

kiske aage rote aur sunate apni dastaan,
basti thi ujrdi huyi sunsaan thikane mile,

ab na maangenge khud se zindagi ki bheek hum,
ishq mein shama ki yeh kehte huye parwane mile,

dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko,
chand toote dil ke tukre unko nazrane mile,

sathi ki yaad mein sab doobe huye the is kadar,
jaan tere shehar ke sab log deewane mile.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts