yun khamoshi ka zeher piye ja rahe hain

yun khamoshi ka zeher piye ja rahe hain,
mat puch kiski khatir zindagi jiye ja rahe hain,

kisi ne ghumon ka taufa saja ker diya hai,
ussi ki khushi mein chup chaap anshu piye ja rahe hain,

jab chaha hansa diya jab chaha rula diya,
yun kuch hum par ehsaaan kiye ja rahe hain,

unhein hum ne phulon ka bister de diya hai,
apne zakhmon ko hum kaanton se siye ja rahe hain,

to kya jo zamana bereham hua hai
hum to afsaaane mein khud ko jiye ja rahe hain,

apni khatir jeena to duniya walon ka dastur hai,
hum iss duniya ki khatir khud ko mita ker jiye ja rahe hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts