toofan sine ka main shaant karu kaise

toofan sine ka main shaant karu kaise,
suni suni aankho mein naami laun main kaise,

chahta to tha main bhi ki akela na rahu,
lekin us kaatil ko apni zindagi mein laun kaise,

zehar ban gaya hai aab to uska naam mere liye,
samaj nahi aata usko raaj ki raani banaun kaise,

wakif hoon main dunia ke riti-riwazon se,
sirf uska hoon yeh yakeen dilaun main kaise,

khoon-e-jigar maanga hota to samaj aata,
duniya ki bhid se nikal ke mahlon mein basaun kaise,

garib hona aaj jurm hai saayad dunia ki nazar mein,
tab hi aaj mera pyar ruswa hai us kaatil ki nigah mein,

khud ko ram to us ko main sita banaun kaise,
samaj nahi aata usko raaj ki raani banaun kaise,

sulagte dil ki tardap juba pe laun kaise,
risste huye iss zakhm ka illaz karaun kaise,

khamosh kar ke baithe hain apni juba ko,
us kaatil ko us ke gunaah bataun kaise,

bewafa woh humein kahte rahe sare aam,
chup kyo the hum yeh usse samjhaun kaise,

jala ke rakh diya sab kuch us ke ek sabd ne,
hum bewafa nahi yeh yakeen dilaun kaise,

chirag bujh raha hai zindgi ka dheere dheere,
us chirag ke liye roshni main laun kaise,

aag sine ki aab to ruh ko bhi jalane lagi hai,
bewafa ka daag apne maathe se main hataun kaise,

bewafa ka daag apne maathe se main hataun kaise..?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts