kuch tute sapne aur kuch bache armaan hai

iss zamin aur aasmaan ke baad ek jahaan hai,
kuch tute sapne aur kuch bache armaan hai,

hosh zindagi ko nahi aur chain maut ko bhi nahi,
kaisa yeh alam hai, kaise ankhon mein khwaab hai,

kaun hai kiska yahan, ya kaun hain kaisa yahan,
sab ke apne nasib hain, apna apna imaan hai,

rulaaya hansaaya, kaise kaise dil ko behlaaya,
meri khataa kya hai aur kaisa mujhpe ilzaam hai,

maut hi meri azeez hai, yeh lagti mujhe ab apni hai,
zindagi meri kahaan hai, jo mujhse hi anjaan hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts