ek pyaar ka taj mahal hum milkar bannate

dosti mein darar ho gayi,
bin bole hi takraar ho gayi,
naa gila kiya naa shikwa,
zindagi meri khaar hogai,

kaha tha milan do janamo ka hai,
zehan mein yeh baat ghar kar gayi,
hoga ghar chaand sitaaron mein,
yeh baat zindagi ko araam kar gayi,

jaha koi usul na honge,
sirf hum tum aur pyaar hoga,
sapnon ki ek duniya hogi,
pyaar bhara sansaar hoga,

iss baar tum door naa jate,
ek pyaar ka taj mahal
hum milkar bannate,

jis mein makbara naa hota,
pyaar ke phoolon ka hi nazara hota.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts