haar ke khushi manaane ki koshish kijiyega,
paani mein aag lagaane ki koshish kijiyega,
zindaagi nahi rukti kisi ke bhi chale jaane se,
kaarvaan aage bardhaane ki koshish kijiyega,
yaar to aakhir yaar hai, bewafaa hi sahi
unki khushi mein din bitaane ki koshish kijiyega,
aankhon mein ab wo nasha-o-suroor kahaan raha,
sharaab hi se pyaas bujhaane ki koshish kijiyega,
tameez-daar nahi duniya! keh kar chaldiye huzoor,
khud ko bhi tehzeeb sikhane ki koshish kijiyega,
nahi kehte hum ki kaante hi zakhm dete hain,
kabhi phoolon pe haath phiraane ki koshish kijiyega,
husn ki aag ke sholon mein parwaane hi kyun jalte hain,
aisi rasm pe bandh lagaane ki koshish kijiyega,
khuda se kasak ka taalluk jaise toot sa chala hai,
meri baatein untak pahunchaane ki koshish kijiyega.

No comments:
Post a Comment