wo aise kab the ki dard naa samajhte the

mehfil teri chord ke deewane chal diye,
ashkon se bujhi naa pyas to mahkhane chal diye.

woh aise kab the ki dard naa samajhte the,
yeh bhi ek adda hai jo aap hi rulane chal diye.

kabhi hanthon mein mehndi se mera naam likha karte the,
yeh din bhi aayein hain ki mujhko ki mitane chal diye,

tere aashiq kaa dil hai koi kanch kaa paiymana nahi,
ki toot jaye to duniya ko batane chal diye.

lute hain jo apno se woh shikve kya karenge,
bas shama ko dua de kar parwane chal diye.

jinke gham mein shaad hum ta-umr likhte rahe,
un yaad ke panno ko aaj khud hi jalane chal diye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts