kya aisa bhi ho sakta hai

khamoshi khud apani sada ho
aisa bhi ho sakta hai,
sannata hi gunj raha ho
aisa bhi ho sakta hai...

mera sathi mujh se bichard kar
kya jaane kis haal mein hai,
meri tarah woh bhi tannha ho
aisa bhi ho sakta hai...

sahara sahara kab tak main dhundhun
ulfat ka ek ek lamha,
lamha lamha ek sahara ho
aisa bhi ho sakta hai...

zindagi-e-tufaan soch rahe hain
saahil dubaa jaata hai,
khud unka dil dub raha ho
aisa bhi ho saktaa hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts