woh shabd kahan se main laaun

jo likhna chahoon kagaz mein,
woh shabd kahan se main laaun,
jo likh daale the bitey pal,
kya aaj unhein main dohraahun.

ab meri nason mein shyahi nahi,
ab main kiske nagme gaaun,
kuch toote-phoote lamhein hain,
kya aaj unhein main 
dohraahun.

main agyaani ab kya karta,
jo dikhta hai wahi likhta jaaun,
katha meri andheron ki hai,
aaj unhein main 
dohraahun.

kaun sukhi hai iss dharti par,
aaj ussi par geet banaaun,
chote-chote shabd bunne the,
aaj phir unhein main 
dohraahun.

dukh ko maine khoob jiya hai,
kiski khusiyon ko batlaaun,
gar iss dharti se gum hatt jaye,
to aaj khusi se soo jaaun.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts