manzil tak chalne wala koi ek hamsafar nahi

zamana nirdaye itna
sachai ki koi kadar nahi,

matlabi hai kuch log yahan
pyar bhari koi nazar nahi,

mangata hoon sirf thordi si khushi,
yaha sukh ka koi aasar nahi,

hoti hai agar bhool koi muhjse
milti kyon maafi nahi,

armaan bahut hain dil ke magar
manzil tak chalne wala koi ek hamsafar nahi,

pahuch gaye hain ek aise mukam pe
jiski mujhe bhi koi khabar nahi,

badal gaye hain sab ke sab
meri is zindagi ka ab koi mukddar nahi. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts