har lal rang jo behta hai khoon nahi

jise dekhta tha har pal,
jise chahta tha har pal,
kiye khilward dilse kayi,


usne mujhe sataya hai,
jee bhar ke mujhe rulaya hai,


main jaanta hu woh itna bhi masoom nahi,
har lal rangh mein jo behta hai khoon nahi,

jisko aapna maana tha,
apne se jada jaana tha,

ek kardwa sach bata diya,
bas usne mujhe sikha diya,

bewafai par bana aaj bhi koi kanoon nahi,
har lal rang jo behta hai khoon nahi,

jisse dil dhardakta tha,
dil jiske liye tardapta tha,

thi jinko meri aadat kabhi,
kerta tha jinki ibbadat kabhi,

aapni taraf se pagal hoon main
par unko koi joonon nahi,
har lal rang jo behta hai khoon nahi,
khoon nahi...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts