kuch to yaadein hongi unke pass bhi

bahut hassa tha main,
jinko bhi hassaane ki liye.
wahi chord gaye hain mujhe aaj,
tannhai main aanshoo bahaane ke liye.

woh hasste hain humare saamne,
shayad humein tardpaane ke liye.
par hum to kambakht ro bhi nahi sakte,
zamaane ko gum dikhane ke liye.

khushiyan sab woh le gaye,
aashk hain bas aab mere liye.
par yeh aashk bhi aab nahi dete hain saath,
in aankhon se aashk bahaane ke liye.

barde sambhal kar rakhe the kadam humne,
unke saaye ko bhi bachaane ke liye.
par ab apna hi saaya saath chord gaya,
humein tanhai ka ehsaas dilaane ke liye.

ruke the hum har mord par,
unke intezaar ke liye.
ab chord gaye hain woh ek naye mord par,
zindagi bhar intezaar karwaane ke liye.

bahut khushiyan hain aas-pass,
mujhe khush karne ke liye.
phir bhi koi wajah doondhta hoon,
shaayad main muskuraane ke liye.

kuch yaadein hongi unke pass bhi,
humein yaad karne ke liye.
par woh kabhi humein na yaad kar payenge,
doondhenge kisi bahane ke liye.

kabhi to woh bhi sochenge,
humaare pass waapis aane ke liye.
lekin tab hum honge hi nahi,
unko pachtaane ka mauka dene ke liye.

zinda laash hai aab to yeh zism,
aapna hi bhojh dhone ke liye.
thodi si zamin talaashta hoon,
khud ko dafnaane ke liye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts