mujhe bhi milega kya mukamal-janha kabhi

main ek smander ki sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath bhaita hoon,


kabhi unse kahta hoon kabhi unki sunta hoon,
kabhi khamoosh sa rahta hoon,


kabhi unki bandagi karta hoon,
kabhi unki darindagi sehta hoon.

kabhi un par hassta hoon,
kabhi unke sath roota hoon,


kabhi un par jeeta hoon,
kabhi unke sath marta hoon,

main ek smander ke sahil ki rait ka zarra hoon,
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon,


le jati hai woh mujh ko door kahi,
phir chord jati hai woh mujh ko yehi,


lamba safar ye kat-ta hi nahi,
koshish karne se kuch hota nahi,

sochta hoon tannhai mein yehi ki
mujhe bhi milega kya mukamal-janha kabhi,


ya bhatakta rahoonga har pal
ek nayi laher ke sath sada yunhi..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts