aaj phirse is safar mein akela hoon

zindagi ke is safar mein akele chal rahe the,
jab is safar mein koi nahi tha aaya,

har shaam khamoshi bhari ek aahat thi,
aur chaaro taraf tannhai ka tha ek saya,

na koi khushi thi.. dard bhari bas shayari thi,
takdeer ne yeh kaisa tha faisla sunaya,

aayi jab ek masoom si murat samne,
us apne ki murat ne dil tha mera churaya,

ajeeb si khushi thi is dil ko kisi se milne ki,
uski khushbu ka nasha mere rom rom mein tha samaya,

tannhai aur khamoshi bhari zindagi door huyi,
pyaar ka aisa ek deep tha usne jalaya,

pyaar ko khuda maan ke pojaa tha is dil ne,
ussi khuda ne har pal mere pyaar ko tha mitaya,

apne aap ko badal ke saath chalna chaha,
par takdeer ne har baar hai mujhe haraya,

aaj phirse is safar mein akela hoon,
na koi khushi hai.. bas 
dard bhari shayari,aur chaaro taraf tannhai ka hai ek saya.

hope you are doing okay

did I ever tell you that I really love you
and I think about you all day.

I really miss you and wish Icould kiss you,
but why are you so far away?

since you have been gone
I have thought over and over about you inside my head,

and where I went wrong,
where I went wrong?

every day, I have been thinking a lot
about all of the things you’d say.

since I went away, since I went away,
I guess I could call you and ask you “how are you"?

but I really don’t have much to say...

I sit all alone and I stare at the phone
and I hope that you are doing okay!

I just have to get up when I fall

the long suffering struggle
between the heart and the head,
my long suffering heart
every single tear I have shed.

its way due time
to forget my past,
let go of the hurt
and move on at last.

the past is what it is
and that's where it should stay.
no within my broken heart
waiting to be released one day.

I need to learn
how to well and truly let go,
accept my mistakes
and go with the flow.

it sure is easy
to be writing in word form,
what about real life
is my preaching worth to conform?

all I know is this
and that is nothing at all,
I just have to take it as it comes
get up when I fall..

yaa rab mujhe apne pass bula le

dil ki kashti yaadon ke tufano se lardti hai,
tute huye khwabon ko paane machalti hai,
ise manzil-aye- sahil dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.

mera chand door hai mujhse,
ab sitare bhi khamosh hain,
inn sitaron mein mujhe bhi ek jagah dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.

har ek dua mein usse manga tha,
kya meri ibadat ka yahi ek sila tha,
mujhe apne wazud ka ehsas dela de,
yaa rab mujhe apne pass bulale.

dil mein chupa khanzar ab nikalta nahi,
zakhmo pe zakhm ab sahe jaate nahi,
bechain ruh ko rahat dila de,
yaa rab mujhe apne pass bula le,

har sazde mein tujhe hi pukara tha,
har waqt bas tera hi sahara tha,
raj ke zindagi mein bhi yeh lamha de de,
yaa rab mujhe apne pass bula le.

bandh labon ki bhi apni ek jubaan hoti hai

log kehte hain ki dard ki koi jubaan nahi hoti,
agar aisa hota to kabhi aanshu na bante moti.

bandh labon ki bhi apni ek jubaan hoti hai,
har dard ki apni ek alag dastaan hoti hai.

rooh to khamosh reh har dard ko sehti hai,
par nazarein khud hi poori kahani kehti hai.

har dard kehta apni alag hi kuch kahani hai,
jisse sun har aankh ka sookh jata pani hai.

arre dard ki kasak se hi to lag ghayal hote hain,
kabhi-kabhi issi tees ke bhi log deewane hote hain.

I am so lonely without you

O lonely,
I am so lonely, without you.


ever since I met you,
my world revolved around you.

dreams, emotion, passion,
all were just for you.


every breath, every heartbeat,
was just for you.


now that you are gone,
what is left is tears,


an eyes full of tears ,
and few old memories of you.

here I sit at the same place,
trying to drain your thoughts away,


but the more I try, the more it pains,
and what is left is a broken heart.

I am lonely,
oh God it hurts real bad!


but I feel so lonely,
without you.

kaise teri yaadein mitaun main, kaise tujhko bhulaun main

hum to sachi mohabbat kerte the aap se,
naa jane kis rishte ki darr se mohabbat tord di mujh se,

ab aap humein bhool jane ko kahte ho,
ab aap apni yaadein mitane ko kahte ho,

par kaise teri yaadein mitaun main,
kaise tujh ko bhulaun main,

jaha jata hoon teri justaju rah jati hai,
kaise tera ahsas chipau main,

iss zamane ke riti-riwajo mein humara rishta kuch aisa uljha,
lakh chah kar bhi yeh na suljha,

ab sab jaan kar bas yahi dua hai meri,
sada kush rahe tu sari khusi ho puri teri,

ye aakhri alvida hai mera,
sada yaad rakhna ek saccha chahane wala hai tera.

I wish I had all the answers

gazing at the sky with starry eyes,
I wondered why it is like it is,

questions many answers none,
a storm rises within,

as my hart sinks I wish I knew why I have tears,
when the choice was all mine.

not feeling sorry that it ended,
I am happy that it happened.

yet my heart lets me not rest.
I wish I had all the answers,
I wish I had..


lamha lamha zindagi ka battor raha hoon

lamha lamha zindagi ka battor raha hoon,
bikhri huyi duniya ko battor raha hoon,

khwaab jo kabhi pure nahi ho sakke,
aaj un tute khawaab ko jord raha hoon,

geeli aankhon ke behte paani se
apne hi daman ko kar sharabor raha hoon,

kitne hi rahon pe kaaton pe chala,
aaj phloon se muh mord raha hoon,

kalam ki sihayi khatam hone par
katre ke liye dil nichor raha hoon,

jo kuch hi pal ki to hai zindagi,
to aaj maut ko kyon kar door raha hoon.

tum apni duniya nayi basaogi

aaj tum mujh se door jaaogi
apni duniya nayi basaogi,
ab kise ajnabi ki banhon mein
apni raanayian lutaogi,

maine maana ki door jaogi
apni duniya nayi basaogi,
phir bhi main puchta hoon tumse
mere nishaan mita bhi paaogi?

jab bhi dil se mujhe bhulaogi,
dar hakeeqat fareb khaogi,
din katega mere tasavar mein
apne khwabon mein mujh ko paogi,

apne aaram dar makhmali bistar mein
neend aankhon mein jab basaogi,
jaane kya yaad aayega tum ko
siskiyan lete huye jaag jaogi,

aadhi raaton mein jaag jaane ki
wajah kya hai samajh na paogi,
aur phir bebasi ke aalam mein
meri tasveer tum utthaogi.

jab bhi haalat koi zakhm naya deta hai

jab bhi haalat koi zakhm naya deta hai,
hum ussi dard ko chupke se daba dete hain.

ghum yeh nahi ki seene mein sajaye hazaro ghaaw,
afsoos to yeh ki khud kured kar hara kar dete hain.

tannha raaton mein nazre uthaye aasma ki taraf,
kitne taaron ko apna khuda bana dete hain.

sahil se takkrati hain jab lehreyin beshumaar,
ret par likhe bejuban naam ko mita dete hain.

machle hue armano ka bas itna hai phasana,
dil se uteh gubar ko ashkon mein baha dete hain. 

jhutha hi sahi tumne pyaar to kiya tha

jhutha hi sahi
tumne pyaar to kiya tha,
ek din ke liye hi sahi
mera intezaar to kiya tha.

ek pal ke liye
main bhi madhosh hua tha,
apne hi khayalo mein
kuch behosh hua tha.

jab log kehate hain
ki maine pyaar kiya hai,
tab man udaas hoke sochta,
mera bhi dil kabhi bekraar hua tha.

tum chaahe jaha bhi raho
par tum khush rahana,
ghar kisi ka basana
par tum chup rahana.

na kerna kabhi zikr us pal ka
jo jeevan mein aaye the,
bhool jana ki hum dono
kabhi muskuraaye the.

tumhe eid ka chand kahu
ya kahu jeeta hua lamha,
zindagi jiye ja raha hoon
na rahta kabhi tannha.

teri yaade bahut hain
bita hua jazba bahut hai
jeene ke liye insaan ko
pyaar ka ek lamha hi bahut hai.

waqt ke sath wo bhi badal gayi

teri intezaar mein humne naiyna bichaye rakhe tha,
shaam dhal gayi magar darwaza khulla rakha tha,

chiragon ko bujhne na diya humne kabhi,
unki rahon ko roushan sada rakha tha,

loog kehte hain waqt ke sath wo bhi badal gayi,
meri nazron mein tasveer thi uski,
humne waqt pe nazar kaha rakha tha.

woh pyar ko khel samjhti hai

hassne ki kasam li thi aanshu dene wale ne,
in aankhon mein aanshun to ho,
bas usse khabar na ho,

aashkon se likhi ek dastaan hai zindagi meri,
jo in aankon mein aask na ho to kyun na ho,

woh maasum hai itna ki pyar ko khel samjhti hai,
usko nadan keh lo logon bas bewafa na kaho.

tera intezaar baki hai.

dard saath hai mere aur gam mera saathi hai,
zindagi bozhil si aur door tak udaasi hai,

maikhana ghar mera dost mera saaki hai,
khali si hai zindagi bas teri yaad baki hai,

in sukhe hoton pe aab bhi ek muskan baki hai,
tu aaye naa aaye tera intezaar baki hai.

aake chale jaate hain yeh log pyar ka khel khelke

yeh waqt aaj mere sath hai phir,
yeh waqt bhi dheere se sath kyu chord deta hai??

koi humein dil me apne bassata hai phir,
apne dil mein se kyu nikal deta hai???

pehle aapni zindagi humein bana leta hai phir,
humko hi usski zindagi mein se kyu mittata hai.

kuch pal ke liye hamari zindagi ban jata hai aur phir,
humein bataye bina hi zindagi mein se kyu chala jata hai.

karte rehte hain pyaar ki hamesha mithi mithi baatein yeh,
par wo pyaar ke naam ka hi mazak kyu bana jata hai.

aake bas chale jaate hain yeh log pyar ka khel khel ke,
aur humari zindagi ko ek majak kyu bana jate hai.

dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai

dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai,
iss badnaam shayar ka sar-e-aam aaj mazaak urdaya hai.

kehti thi saansein rahungi har pal saath tere,
ab inn saanson ne bhi mujhe yaad bana ke fiza mein lehraya hai,
dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai...

kaat raha tha zindagi tere aane ki aas mein,
par aaj tune apne pyar ka matlab mujhe samjhaya hai,
mere haath mein paiymana to hontho mein zeher lagaya hai,dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai...

raaton ko kabhi tere khawaab dekha karta tha,
par aaj tune unhi khawabon ke chilman mein aag lagaya hai,
aaj iss dard ke mausam mein khud ko akela maine paya hai.

ab to yahan jeene hi mere liye zaya hai,
dekho aaj mohabbat ne kya naach nachahya hai,
iss badnaam shayar ka sar-e-aam mazaak 
urdaya hai.


I am blessed with loneliness

yes, I am blessed!
but I must confess that I have loneliness…


times when my sky is filled with gray
and the pain won’t seem to go away…

but then I have times when I feel great!
so much so, I even want to celebrate!


basking in my saviour’s grace,
knowing there is a smile on everyone's face…

but day in and day out,
through the good and the bad,
through the tough and the sad,
through the love and the hate,


I know that I am blessed,
regardless.

milna bichardna

patjhard mein bikharte patton ko,
kisne dekha hoga girte der tak,

shaakh se tut ke girte huye unka,
dard mehsus kiya hoga kisne der tak,

koun janata hai unka dard?
milna bichardna niyati sahi,

bichardne ka gam phir bhi satata hai,
bichardna hi to milan ki shuruat hai,

annt se hi to aarambh hota hai,
mere iss jeevan ki tarah.

shayad humare pyar ka imtehaan yeh judai hai

suna tha sapne tutate bhi hain
aaj unko tutate huye dekh bhi liya,
meri hi is kismat ne mujhse
itna barda dhokha kiya.

aisa toofan aaya zindagi mein
ke saare raaste kho gaye,
kal tak jo apne the
pal mein begaane ho gaye.

dil deta hai sadaye aaj bhi unko,
rakh ke ummeed ki laut aaye woh baharein,
aakhir kab tak jiye hum aise
beete kal ki yaadon ke sahare.

shayad meri kismat mein hai kuch kami
ki yeh saza humne paayi hai,
bewafai to kabhi ki na thi lekin,
shayad humare pyar ka imtehaan yeh judai hai.

darta hai tuta dil mera

pujte the jis pyaar ko
dil aaj ussi ke naam se darta hai,
maanga tha jise duaaon mein har dam,
dil aaj ussi ke naam se darta hai.

kiya tha pyaar humne bhi kabhi ek sangdil se,
dil aaj ussi ke naam se darta hai,
us sangdil ne bhi bahut jataana chaaha pyaar magar sab jhuta,
dil aaj ussi ke naam se darta hai.

sajaaye the anginat sapne us sangdil ke saath humne,
dil aaj usi ke naam se darta hai,
kiye the janm-janmon ke waade us sangdil ke saath humne,
dil aaj ussi ke naam se darta hai.

tord gayi woh sangdil humare sajaaye saare sapne,
dil aaj ussi ke naam se darta hai,
tord gayi woh sangdil humare kiye sab waade,
dil aaj ussi ke naam se darta hai,

maine dil ko samjhaaya,
woh sangdil kabhi tera thi hi nahi,
na jaane kyun dil is baat se inkaar karta hai.


keh keh ke baar baar samjha liya,
behla liya dil ko maine
na jaane kyun dil abhi bhi darta hai.

bhula diya hai usko maine dil ke har kone se,
ab dil mera usse yaad karne se darta hai,
uski baaton ko, yaadon ko zehan se nikaal diya,
dil aaj uski yaadon se darta hai.

toot chuka hai vishwaas mera pyaar se,
ubb chuka hai dil in pyaar karne waalon se,
jinhein dekh kar mujhe eersha
aur jalan ke siwa kuch nahi hota.


par dil ab in sabse darta hai,
dil... dil ke jazbaat se darta hai,
dil har baat se darta hai,
pyar ke naam se darta hai,
darta hai tuta dil mera.

mujh mein koi jaan nahi

jism hoon main per
mujh mein koi jaan nahi,
dil to hai paas per
ab ismein koi armaan nahi,

chinn gayi jo khushiyaan
to rahi koi iccha baki nahi,
chala gaya jo ek baar,
phir wo lauta wapis nahi.

cha gaya jo uska khumaar
chahat bhi ab koi baki nahi,
kho diya jo pyar ek baar
mila wo phir dubara nahi,

kaash! mil jati wo mujhe
to usse jane kabhi deta nahi,
jism hoon main per
mujh mein koi jaan nahi.

mere khawaabon ka mahal hakeekat mein saara ujard gaya

mere khawaboon ki duniya kitni maasoom kitni haseen,
lagti thi mujhe yeh duniya ab tak na jaane kitni rangeen,

ek din to hakeekat ki patharon se inko takraanaa hi tha,
mere sab khawaboon ko toot kar bikhar jaanaa tha,

mere in khwabon mein shaamil thi bachapan ki maasoomiyat,
jawaani ka pyar aur dono kaa alhardpan,

lekin hakeekat mein bachapan ki maasoomiyat,
jawaani kaa pyaar aur,
dono ka alhardpan khwaab ke saath hi bikhar gaya,

mere saare khwaabon kaa roop ek dam bigard gaya,
mere khawaabon ka mahal hakeekat mein saara ujard gaya,

kaash koi aake in khawaabon ko tootne se bachaaye rakhati,
mujhe hakeekat mein jagaa kar in khwaabon ko sajaaye rakhti,

mere saare khwaab yun toot kar bikhar naa jaate,
yeh khawaab saare mere hakeekat mein bhi sawar jaate.

aapni mohabbat ko ruswa kar tum chale gaye

humein dil mein basakar kyun tum chale gaye,
yuhi pyaar mein tarsa kar tum chale gaye,

ek aakhri umeed ke sahare jee rahe the,
jo zakhmo ko dilse laga kar tum chale gaye,

tumare sare-rah pe rakhe hain kadam tum chale gaye,
raaho mein maine bikhere phool aur tum chale gaye,

aapni mohabbat ko ruswa kar tum chale gaye,
iss dil mein khile phoolon mein tum masal kar chale gaye..


just you wait and see

I try so hard to make you happy,
but nothing seems to work.
I do my best to find ways to love you,
but nothing seems to have worked.

I give you my time in hopes that you will return the favor,
but all I get is criticism and disappointment…

I am trying to be positive, but you keep being negative.
I don’t know how much more of this I can take
before I break or run away.

I know your life isn’t perfect and neither is mine,
so why do you put others down all the time?
is it a game to you that you’re trying to win?
don’t you know you are going to lose it all in the end?

I can feel myself drowning in a pool of self doubt,
wondering how it’s all going to end…

God knows I don’t have a lot of money to spend,
but when I find an open door and ‘earn’ my wings,
I am going to soar!

and once  I am gone,  
I am not coming back,
I just want you to know that.

there's a time for everything and when it’s my time,
I am going to go.
I am going to take the dice and let it roll,
and leave the rest in God’s control.

someday I will be somebody,
and I will make a difference
just you wait and see...

now I am upset and filled with regret

I thought I knew you,
I thought I had you figured out…

you seemed like the ‘nice girl’
every boy dreams about!
you took the time to be my friend,
especially when we hung out over the weekends.

when you would call me to say, ayhey!
man, did that make my day!

but then things changed when your
true colors started to show,
and all the nice things
you did went out the window.

you acted like a jerk
and did things that really hurt.

and when I tell you how I feel
what’s your reply?

‘that’s just the way I am,
you wouldn’t understand,
so don’t even try.’

so now I am upset…
and filled with regret
for giving you a part of my heart
and in the end,
allowing you to break it.

be careful concerning what we say to one another

words can cheer you up
when you are down or cause you to stumble
and hit face first onto the ground.

words can touch your heart
or make you feel like you’re falling apart.

words can inform you of good news
or make your heart almost stop when you
find out that someone you knew is dead.

words can unite or cause us to fight!
words can be sweet and sweep us off our feet
or words can be mean and cut us really deep.

words can inspire and fill our hearts with desire
or words can perspire and make us feel like a liar.

words can bring life to one thing and death to another,
so let us be careful concerning what we say to one another.

stuck at one place

a strange feeling of stillness has crept into my life,
time’s flying literally, and I am stuck at one place…

I am growing as a professional, getting closer to set goals,
that’s where I wanted to be but it’s not exciting me any more…

the more I am getting there, timelines are getting squeezed,
lesser time I have for myself and lesser space for mental peace…

everything has become monotonous, fewer are things that change,
with no real activity, all seems to have gone out of shape…

something’s got to happen as I just want to break free,
long it has been since I spent on myself even a single day.

kaise kahein ki hum kaise jee rahein hain

ek ke baad ek musibat jhel rahe hain,
ek ho ke bhi tanha hum jee rahe hain,

kaun samjhe humare dil ka haal,
kaun jaane hum saans kaise le rahe hain,

juda ho ke to aadha jeevan kar liya apna,
bas us aadhe ko poora karne ki koshish kar rahe hain,

mushkilein hain jo kabhi daman nahi chordi humara,
kya kahein ki kis nate jheel rahe hain..

saath ho ke bhi saath nahi mera,
kaise kahe kaise unse door hum jee rahe hain,

kathinaaiyan aati hain kabhi darr ki shakal mein,
kaise batayein hum ki kaise saamna kar rahe hain,

saath jeene marne ki kasmein kha ke bhi saath nahi aaj,
kaise kahein hum kaise jee rahe hain,

bas marr rahe hain har pal har shaam,
unhein yaad kar kar bas khud ko koss rahe hain,

kaise kahein ki hum kaise jee rahein hain,
bas saansein chal rahi hain aur wakt kaat rahe hain..

what more can I do

scars remain with pain inside,
my heart holds hurt that I cannot hide,

bruised and broken

torn and tattered
a world I once knew has been shattered…

I reach out to you

and you push me away.
I try to explain it,
but you laugh it away…

so what more can I say?

what more can I do?


nothing will ever be good enough for you...so why do I try??

aaj sabse jada karta hun unhi se nafrat

ye kya ho raha hai, ye kyun ho raha hai?
kya theek hai,  jo kuch bhi ho raha hai?

har aahat par lagta hai kisi ne dil ko pukaara,
dusre hi pal mehsus hua ki jhut hai ye saara,

nahi jaanta kya sach hai aur kya jhut,
gar yun hi chalta raha to
jaaonga main apni zindagi se ruth,

woh pyar ke kaabil hi nahi thi,
phir kyun dil uska intzaar karta hai,

woh pyaar ke naam par ek dhabba hai,
phir kyun yeh manne se yeh dil inkaar karta hai,

jis shaks se mujhe mohabbat huyi thi,
woh shaks to kahi kho gayi hai,

jo shaks mere saamne ab hai,
yeh woh nahi hai jisse mujhe mohabbat huyi thi

nahi jaana unhone kabh bhi ki
kitni mohabbat karta tha unse main,

lekin ab woh yeh jaan hi le to acha hoga,
ki aaj sabse jada karta hun unhi se nafrat main.

bheed mein chala aa raha tha ki tu nazar aa gayi

ye sab soch kar hi ghabra sa gaya main aaj,
khoon ke aanshu roya aur,
khud se kitne sawaal kar baitha main aaj,

kabhi tu lagti thi jaise meri deewani hai,
aur aaj apna hoke bhi tu kitni begani hai,

bheed mein chala aa raha tha ki tu nazar aa gayi,
baat karna chahata tha tujhse,
par dil mein magar shabd aa gaya,

aankhein jaise hi takri teri un gehri aankhon se,
dil bebas hone laga meri un tez saanson se,

kadam chahate the tere paas chalkar chale jaayein,
kehna bahut kuch tha par ashk naino se chalakte jaayein,

naa hum kuch keh sake naa woh kuch keh paaye,
naa jaane kaisi lachaari se ek doorse ko dekhte jaayein,

bheegein thi palkein humari askhon ki chandni se,
un pyaar bhari aankhon mein bhi par ashk kahan ruk paaye,

bardhaya haath phir unhone apna,
hum kahan apna haath unhein de paaye,

jo berukhi, jo doori ban gayi naa chahate huye bhi darmiyaan,
woh doori aaj ek mulakaat se kaise mit jaaye,

kya woh chahate hain humein aaj bhi,
bas yehi hum aaj tay naa kar paaye,

ye sab soch kar hi ghabra sa gaya main,
kiye kitne sawaal khud se jinke jawab naa mil paaye.

humein kisi ki bhi ab koi hasrat nahi hai

koi unko keh de na ab mujhe aur satayein,
mujhe ab sehne ki aadat nahi hai,

na de mujhko ab wo dard ka aur pyaale,
mujhe ab peene ki aadat nahi hai,

nahi koi khwahish saahil ki humko,
humein manzilon ki bhi ab chahat nahi hai,

bhale koi aaye saath de ya humein chord de,
humein kisi ki bhi koi hasrat nahi hai,

“raaj” khud kaid hai apne hi sawalon mein,
unke jawaab ka ab koi intzaar bhi nahi hai.

hum naa samajh paaye yeh duniyadaari

ajab dil ki duniya, ajab iski yaari,
hum naa samajh paaye yeh duniyadaari,

apne dil lagaayein, apne hi rulaayein,
dil ne jataayi humse aksar yeh laachaari,

hum chaahein aapko aur woh bhi apne hi,
kal aap dil dukhaaye aaj hai unki baari,

hum jinse bhi mile, sab log waaiz the,
ek hum mein nahi bas, itni samajhdaari,

apni taraf se karte purzor koshishein hum,
har koshish mein bhari humne imaandaari,

khudaaya, tu jahaan mein ek hi mukammal,
sikha de mujhko kuch apni adaakaari…


janam janam ka saath ho jaise

kisi ko chaahane se kya hota hai,
dil achcha hone se kya hota hai,

kisi ko dil mein basaane se kya hota hai,
jab usko mujh se pyaar hi nahi,

usko apna kehne se kya hota hai,
mujhe rula kar khush hota hai aise,
meri hi aashuon ki usko pyaas ho jaise,

kal raat rooya tha aise jaise,
chaah ho dil mein kuch aise,

phir kabhi savera naa ho,
sharir pe zindagi ka basera naa ho,
dil pe kisi dhadkan kaa pehra naa ho.

aankhein moonda tha aise jaise,
kabhi aankho mein roshni na ho jaise,

kis hakk ki baat ker gayi woh,
kab hakk maanga maine usse,

maana dil haar chuka hoon,
dil chura lo chaahe jaise,

dil pe kabu aab bhi hai aise jaise
dil mera aab bhi mere paas hi ho jaise,

naa hakk chaahiye tum pe mujh ko,
naa koi hakk de hi paaounga,

tumko chaah meri mout ki hai,
tumhaari khushi puri kar doon kaise,

bebas laachaar hoon aise  jaise,
apni mout pe bhi mera vash na ho jaise,

toot jaata hoon aise,
phir naa jurd paaounga jaise,

aaj socha hoon kuch aise,
kyoun roo doon uski baato se aise,

kyoun asar ho uske nafart ka aise,
kyou naa bhool jaaoun usko aise,
woh ek darwaana sapna ho jaise,

par dil chahata hai,
saari khtaaono ko maaff kar doon aise,
mujh par puraa hakk ho tumhaara jaise,

jee chahata hai bassa loon aankho mein aise,
jeevan ka koi haseen sapna ho jaise,

sajja lun tere yaadon ko aise,
gehno se sajji khushiyouno se lardi dulhan ho jaise,

kyoun naa jord lun tumse dil ka rishta aise,
janam janam ka saath ho jaise.

a second chance to make things right

a cluttered life,
a cluttered past,
searching for something that will last…

trying to shed the dead skin that
has been your mask.

you are trying to hold on with all that you have
but there’s nothing left for you to grab.

so you crawl back into you little ‘hole’,
where at least you have some ‘control’

so you snort it up,
you drink it down,
you hit the water and start to drown

you lose consciousness,
you star to dream.

God whispers your name,
a hand reaches for yours and pulls you up,
when they get you to the top
they check your pulse to see if your heart has stopped.

you come back to life and begin to breathe again,
you open your eyes to see who saved you,
but you are all alone lying on a pier
in the middle of nowhere.

left wondering how you got there,
so you look to the sky
and realize why you didn’t die,

God was giving you a second try,
a second chance to make things right,
to step back into the light
and continue the fight to live this life.

despite the cost,
despite your loss,
despite your pain,
to know that god is in control
and he won’t ever let you go.

All Time's Favourite Posts