kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath

mere dost main woh nahi jo dikhta hoon, 
jaan bujh kar maine ek libaas pehen rakha hai,

jo mujhe tumhare sawalon se bachata hai, 

aur tumhe mere takalluf se.

mere dost jab tum guzrti hui 
hawa ki aur ishaara karte ho, 
mera dil to kisi samunder ki gehraiyon mein khoya rehta hai. 

tumhare kehne par hi main apni gehraiyon se uthkar, 

guzarti hui in hawaon ko mehsus kar leta hoon, 

kyunki main jaanta hoon, 

tum mere samunder ko samajh nahi paoge, 
jab tumhara yaha kisi ujle din ki shuruat hoti hai, 
mere waha ek suni raat apna geet gungunati hai. 

tumahri nazro se main suraj ki kirno ko failte hue dekh leta hoon, 
jab ki tum taaron se pankh ladaati meri raat nahi dekh paate,

dost jab tum kisi jannat ki aur chal padte ho, 

main apne jahanum main simat jaata hoon,

tunhare saath main kabhi jannat ko dekh leta hoon, 

par hamesha main tumhe apne jahanum se door rakhta hoon,

kyunki main jaanta hoon yaha ki aag tumhara chehra jala dega, 

aur yaha ka dhua tumahari aankhon ko pighla dega.

jab tum hans padte ho main bhi hans leta hoon, 

tumahre khwabo ki duniya mein sang tumhare ho leta hoon,

meri jujlaati hui hakeeqat se tumhe bahut door le jaata hoon, 

kyunki tum meri deewani duniya se wakif nahi 
aur mujhe tumhare jaha se nahi koi wasta.

phir bhi aye dost, 

yuhi saath saath hum chal padte hain 
kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts