juda ho gaya main

main yeh sochkar uske dar se chala tha, 
ke woh rok legi, bula legi mujhko, 
hawaon mein lehrata aata tha aanchal, 

woh daaman pakad ke bitha legi mujhko, 
kadam aise andaj se uth rahe the, 
ke aawaz de kar bula legi mujhko.

magar na usne roka, na usne pukara, 
na daaman hi pakda, na mujh ko bithaya, 
na aawaz hi di, na waapas bulaya, 

main aahista aahista bardhta hi aaya, 
yahan tak ke usse juda ho gaya main, 
juda ho gaya main,  ha juda ho gaya main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts