yun palat jaaye meri zindagi to kya baat hai

kitabon ke panno ko palat kar sochta hoon, 
yun palat jaaye meri zindagi to kya baat hai. 

khwabon mein roz milte hain jo, 

hakikat mein mil jaaye to kya baat hai.

kuch matlab ke liye doondhte hain mujh ko, 

bin matlab jo woh aaye to kya baat hai. 

katal karke to sab le jayenge dil mera, 

koi baaton se katal kar jaaye to kya baat hai. 

sarifon ki sarafat mein jo baat sunai na de, 

ek sharabi keh jaaye to kya baat hai. 

apne rahne tak to khushi dunga sab ko, 

jo kisi ko ‘raaj’ ki maut se khushi mil jaaye to kya baat hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts