kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein

chale aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 
aur hum kar gaye kayi khatayein anjaane mein, 

yeh kya nasha tha meri aankhon mein ja samaya? 

ruth gayi khushi woh, umra lagi jise kamane mein.

kya khabar thi woh bura maan jayenge iss kadar, 

ki humein lag jayeinge kayi baras manane mein,

na rok saka unhein main bebasi yeh kaisi chayi thi? 

yeh saza hai meri, gujar doon zindagi pachtane mein. 

kal ka kya bharosha, yakeen ho bhi jayega unhein, 

hum na rahein, kahin kar de itni deir batane mein,

wahi manzar wahi jism, na raha woh saccha pyar, 

ghar luta apna, duniya sajayi hai ghumkhane mein. 

aur na poocho dastaan-e-mohbbat aye zamane walo, 

hai yahi kahani meri, suna dala jisse iss tarane mein.

kyun aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts