ek ladka deewana sa,
ek ladki ko bahut chahta tha,
har pal uski yaadon mein jeeta,
har pal muskurata tha.
sachi mohabbat ki usne phir bhi,
har pal thukraya jaata tha,
ek hassi dekhne ko uss ladki ke hothon par,
woh khud ko dard pahunchata tha.
bahut samjhaya sabne par,
woh sabki baat taal jaata tha,
jab bhi koi kehta usse ki woh bewafa hai,
to andar hi andar mar jaata tha.
saanse jaise usse de chuka,
dil bhi ussi bedard ko de aaya tha,
uss ladki ke baatein aisi jo
har pal usse gham de jaata tha.
phir bhi uski khushi ke liye,
sab kuch kar jaata tha,
uski bewafai ko khud ki
mohabbat ka inaam batata tha.
bhool gayi, chord gayi woh bewafa usse,
par woh to uske naam ki,
hi joti dil mein jalata tha.
ek ladki ko bahut chahta tha,
har pal uski yaadon mein jeeta,
har pal muskurata tha.
shayad apne saath ho rahe dhokhe ko,
woh khud se hi chupata tha aankhon mein nami,
aur hothon pe muskane sajata tha.
woh khud se hi chupata tha aankhon mein nami,
aur hothon pe muskane sajata tha.
sachi mohabbat ki usne phir bhi,
har pal thukraya jaata tha,
ek hassi dekhne ko uss ladki ke hothon par,
woh khud ko dard pahunchata tha.
bahut samjhaya sabne par,
woh sabki baat taal jaata tha,
jab bhi koi kehta usse ki woh bewafa hai,
to andar hi andar mar jaata tha.
saanse jaise usse de chuka,
dil bhi ussi bedard ko de aaya tha,
uss ladki ke baatein aisi jo
har pal usse gham de jaata tha.
phir bhi uski khushi ke liye,
sab kuch kar jaata tha,
uski bewafai ko khud ki
mohabbat ka inaam batata tha.
bhool gayi, chord gayi woh bewafa usse,
par woh to uske naam ki,
hi joti dil mein jalata tha.
shayad najuk dil tha uske paas,
isiliye chahte huye bhi,
usse nafrat na kar paata tha.
isiliye chahte huye bhi,
usse nafrat na kar paata tha.
ek ladka deewana sa,
ek ladki ko bahut chahata tha.
ek ladki ko bahut chahata tha.
No comments:
Post a Comment