abhi baaki hai zindagi isse jeena hi padega

abhi baaki hai zindagi isse jeena hi padega, 
amrit ho ya zaher isse peena hi padega, 

waqt se pehle doston kuch bhi naseeb hota nahi, 

agar khali kar gayi zindagi haath,
har raja ko fakeer hona padega,

iske aage piche hai,

milan-judai khushi-ruswai, 
par agar kismat saath ne de,
to har tabahi ka saath dena hi padega.


bas kisi ka nahi chalta iske jor ke aage,
jhasan ho ya maatam,

iske shor ko sehna hi padega.

jaane kyu abhi bhi baaki hai,

yeh be-rukhi si zindagi,
humein mile khushi ya ho dukhi,
saanson ke aage humein jhukna hi padega.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts