meri aakhon ke intezaar ki rahon mein tum hoge

meri awaaz se nikle kisi naghme mein tum hoge, 
meri palakon ke basse sabhi khwabon mein tum hoge, 

yeh mumkin hai main kal ko zindgi mein naa rahun phir bhi, 
mere tute hue dil ki kisi khwaaish mein tum hoge, 

koi awaaz deta hai to lagta hai ki tum hoge, 
koi saya nazar aaye to lagta hai ki tum hoge, 

tumhare ghar se aati raah to veeraan hai phir bhi, 

har ek aahat pe kyon lagta hai darwaze pe tum hoge? 

mere marne pe dekhna meri palakein khuli hongi, 

meri aakhon ke intezaar ki rahon mein tum hoge.

pyaar kiya tumse to saza mein paayi tanhaai

pyaar kiya tumse to saza mein paayi tanhaai, 
toote dil ki hai parchchaayi.. tanhaai,  

yeh dil bewafa se wafaa chahta tha, 
kyon dil ke raaste mein aayi tanhaai? 

kabhi dikhaayi dete the jahan sapne beshumaar, 
ab in aankhon mein hai chhaayi tanhaai, 

manzil se pehle hi doob gayi khwabon ki kashti, 
ashkon ke samundar mein lehraayi tanhaai, 

jee lete hum sirf teri yaadon ke sahaare, 
par teri yaadein bhi sang apne laayi tanhaai. 

main ek smander ki sahil ki rait ka zarra hoon

main ek smander ki sahil ki rait ka zarra hoon, 
har pal ek nayi laher ke sath behta hoon, 
kabhi lahroon se kehta hoon kabhi unki sunta hoon, 

kabhi khamoosh sa rahta hoon, 
kabhi unki bandagi karta hoon, 
kabhi unki darendagi sehta hoon, 

kabhi un par hasta hoon kabhi unke sath roota hoon, 

kabhi un par jeeta hoon kabhi unke sath marta hoon, 

main ek smander ke sahil ki rait ka zarra hoon, 

har pal ek nayi laher ke sath behta hoon. 

le-jaati hai woh mujh ko door kahi, 

phir chord jaati hai woh mujh ko yahi, 

lamba safar yeh kat-ta hi nahi, 

koshish karne se kuch hota hi nahi, 

sochta hoon tanhai mein yahi, 

ki mujhe bhi milega kya mukamal-jahaan kabhi, 
ya behta rahunga har pal, 
ek nayi laher ke sath sada yunhi..? 

humko khamosh hi rehne do

humko khamosh hi rehne do yahi behtar hai,
lab jo hilenge to utar jayenge chehre kitne.

you never knew how I felt

you never knew how I felt,
you never returned these feelings I had for you,

all these emotions of hatred and love,
were mixed emotions.

I sent love to you
but it was never returned,
never....

you never knew how I felt,
you never returned these feelings I had for you.

when I see you with him it kills me inside,
you used to be like that with me,
and then it would die,

I sent you love
but it was never returned,
never...

you never knew how I felt,
you never returned these feelings I had for you.

and I'll always be your friend,
but I’ll never be your man.

even though it kills me inside to say,
that you’ll never look at me,
that way again,
never again...

choti magar haseen mulakat thi

kuch lamho ke liye zindagi mere saat thi, 
choti magar haseen mulakat thi,

ab to woh lamhein anshu ban kar baithe hain, 

tanhai mein khamoshi mein itna kehte hain, 

kyu bewajeh taklif dete ho in aankho ko? 

kyu sajate ho tutte khawabon ko?

ab kya kahein.. 
zindagi tujhe pana chahate hain, 
kuch lamhein aur tere saat bitana chahate hain.

lamhein zindagi ke yun ruswa na kiye hote

kaash tune yeh chott jigar ke na diye hote,
lamhein zindagi ke yun ruswa na kiye hote.

gar hota illm.. phir na mil payenge kabhi,
pal woh mohabbat ke chupa liye hote.

gar sach yeh mohabbat ki kahani hoti,
kinare lehron se bichard ke na jeeye hote.

kaash humne tumhe toot ker na chaaha hota,
aur na jaam judaai ke yun piye hote.

bebasi mein gar tune haath na chorda hota,
samjhote zindagi se humne na kiye hote. 

change is good but change can hurt

change is good but change can hurt, 
it depends on how open your mind is, 
and how much your willing to give up.

change is all around us, 
and if we accept it 
we can easily move on.

but if we reject,

we can only move backwards 
and never see what tomorrow will bring. 

I look out into the horizon, 
where two opposites meet. 

all time seems to stop,
harmony and bliss exist
 for a short moment,
and all seems good.

the waves turn to diamonds,

as they gather the last rays of the summer sun.

I feel that this beautiful scene of fire
and water joining is sending a message from above.

the message being that

this time in my life is over,
but a new one has just begun.

begana yahan har apne ka chehra dikhai deta hai

yeh shehar ek bejaan sa sehra dikhai deta hai,
murda dilon par dhardkanon ka pehra dikhai deta hai.

aankhon se chalakta hai khoon paani ki jageh,
har seene mein zakham koi gehra dikhai deta hai.

har shaksh dhoondhta hai khoi manzil ke nishaan,
raahon mein pada gardish ka kohra dikhai deta hai.

kya shikwa karein gairon ki bewafai ka ab hum,
begana yahan har apne ka chehra dikhai deta hai. 

aakhir kyun hota hai aisa “raaj” ke sath

teri yaad jo aayi.. hui aankhon se barsat,
dhardkane tham si gayi.. kitni sitamgar thi woh raat,
jism se jaan juda hone ko thi,
dil ne kaha kyun aati hai teri yaad?

koi puche ki mohabbat kaisa hai.. to naam lu tera,
dil ke armano se puja tujhe din-raat,
har saans pukarti rahi.. tujhe sari raat,
ek yaad ke sahare hi.. gujar gayi woh raat,

chutta teri yaadon ka daur to bhinge the hum,
kuch pal mein samjhe ki.. aashma bhi rone laga mere sath,
tujhse door huye.. to yeh hua ehsas,
aakhir kyun hota hai aisa “raaj” ke sath?

mere dil ka khaali kona badhta jaa raha

mere dil ka khaali kona badhta jaa raha hai,
iss par se mera haq hat-ta jaa raha hai,

dar tha mujhe jis baat ka ki hoga yehi,
woh pal door se hi paas dikhta jaa raha hai,

jis baat ka andaja laga tha pahale hi,
uss sach se bhi dil kyu darta jaa raha hai,

hans kar taal jaati thi sachyi ko saamne se,
ki uss sach ka rang gehra hota jaa raha hai,

main nahi jaanta kya hoga anjaam iska,
iske pahle se hi dar badhta jaa raha hai,

sochta hoon maun ho jaana hoga achha,
kya kare ki ab maun bhi jee churaata jaa raha hai,

hansi aati nahi, kaise chupaun dard ko
yeh soch-soch ke apna dil doobta jaa raha hai.

kaash waqt phir se apni baat na duhraaye

kaash mere ek awaaz par
yeh duniya dol jaaye,
abhi hai shaam
abhi subah ho jaaye.

kaash meri ek baat par
saara shama badal jaaye,
har insaan ke chehare par
muskaan fail jaaye.

kaash meri ek chaah mein
itna wajan ho jaaye,
adhure-kore sapno mein
har rang bhar jaaye.

kaash yeh duniya
mere bas mein yun ho jaaye,
koshish rahegi meri
koi raaj phir na yun kho jaaye.

kaash waqt phir se
apni baat na duhraaye,
jis raaste pe badha tha kabhi
ussi par kadam laut jaaye.

barson ki chahat ko ek pal mein badalte dekha humne

barson ki chahat ko ek pal mein badalte dekha humne,
toot kar chahne waalon ko baat se mukarte dekha humne.

naaz karte the jo apni wafaon par,
unhi ko bewafai karte dekha humne.

kaise saja lein sapne apni udaas aankhon mein,
har khawab ko toot kar bikharte dekha humne.

karte the jo waade hamesha saath chalne ki,

phir unhi ko raasta badalte dekha humne.

somehow I will be fine

there will never be another you,
that can enter this heart of mine.
never again will I find happiness,
but somehow I will be fine.

there will never be another love,
that meant so much to me.
what we shared was magical,
the way love was meant to be.

I thought our dreams could come true,
our fantasy we could live.
I was hoping for a fairy tale love,
one that would never end.

but now you have managed to shatter my heart,
and completely devastate my life.
I only wanted you to love me
never bring me strife.

but mam how you fooled me,
and ripped my heart apart.
only to bring me a life of sadness,
and to hold a lonely heart.

bichrda to dard rooh ki gehraiyun mein tha

bichrda to dard rooh ki gehraiyun mein tha, 
ho ke juda bhi tu meri tanhaiyon mein tha. 

deewangi ko meri ishq mante hain sab,
rushwa tu bhi saath meri rushwaiyun mein tha.

ankhon se anshuon ke sath arman nikal gaye,
yeh kaisa dard aaj inn shehnaiyon mein tha.

tujh ko pa ke dil ko kabhi chain na mil saka,
kitna sakoon haaye un judaaiyon mein tha.

fursat mile to dekh kabhi meri kismat bhi,
aasra tha tujh pe, teri khudaiyon pe tha.

ban ke deewana aaj jo phirta hai dar-badar,
hai yaad kya tujhe tere shaidaiyon mein tha.

raaton se main daron ki neendon mein aa na jaaye,
subah bhi meri dhoop ki parchaiyon mein tha.

tu jis ka naam dil mein basaye hai,
badnaam woh gali-gali harjaiyon mein tha.

woh raaj yaad hai tujhko

woh din mohabbat ka aaj bhi yaad hai mujhko,
mere sang bitaye pal, kya yaad hai tujhko?

aaj bhi dil tardapta hai mera, ussi sirhane ko
mere badan ki khushbu, kya yaad hai tujhko?

woh din suhane the, bada josh tha dil deewane ko,
mera pal pal tujhpe marna, kya yaad hai tujhko?

aadhi raat ki baatein, woh khawabon ki mulakate,
mohabaat ki woh sogaatein, kya yaad hai tujhko?

woh har baat pe jhagadna, woh apni meethi-meethi takrare,
mera woh ruthna tujhse, kya yaad hai tujhko?

mera hi ban jaane ko, tera bhi dil machalta tha,
mere woh pyaar ka sparsh, kya yaad hai tujhko?

nahi hota gujar ek pal phirbhi jee raha hoon main,
tera naam leta har pal, woh raaj yaad hai tujhko? 

I died a death but stayed alive

I died a death but stayed alive,
in phantom’s likeness I survive,

alive, yet dead, I walk alone,
in rooms with walls as cold as stone,

I lived a life and dreamed a dream,
and loved the life you lived with me.

then in the whisper of a breath
you left, and then I died a death.

though dead I live, I cannot part
from love that lives within my heart.

within my sorrow I must strive,
to keep my hope and faith alive.

for all the love that I would give,
I surely would prefer to live.

to be content, not to survive,
but feel my spirit come alive.

you slowly took your final breath,
it was me, my dear, who died a death. 

ek lamba intazaar abhi baki tha

jaa rahe the woh door humse,
par unse milna baki tha.

baatein to bahot karli thi
par ek raaz batana baki tha.

phir aaya woh judai ka din,
par dilon ka milap baki tha,

woh to alvida keh gaye haste-haste,
par unka ehsas mujh mein baki tha.

samjha rahe the dil ko ki woh ek din aayege,
par lamba intazaar abhi baki tha. 

dil ki baat jubaan tak laani na thi

kisi se milne ki ummeed na thi,
milkar bichhardne ki tamanna na thi,
khuda ke saamne majboor the varna,
haalat ke saamne ser jhukane ki aadat na thi.

sitaron ki mehfil humne maangi na thi,
jugnuo ki chamak hi kaafi thi,
andhere se na jaane kyun dil laga liya varna,
chandni ki iss zindagi mein kami na thi.

dil ki baat jubaan tak laani na thi,
ilzaam apne wafa par leni na thi,
kismat humein iss mukaam tak le aaye varna,
shikayat humein iss zindagi se kabhi na thi.

tum sun lo jara

main kehta hoon kya, tum sun lo jara,
chord do anshu tum, khushian chun lo jara,

na koi tanha rahe, saath tum sabka do,
har dil yahaan bas, mohabbat bhar lo jara,

naate tum jord lo, rona abhi chord do,
aur baharon ko baahon mein bhar lo jara,

jab jaao chord ke, yaad kare tumko yeh jahan,
abhi kaam acha koi, tum bhi kar lo jara,

bas muskaan ho, naa kahin koi thakaan ho,
jeeye sab haste hue, aaj wada yeh kar lo jara. 

yeh paagal dil hai jo intezaar kiya karta hai

dil ko malum hai tu nahi ayegi kabhi, 
yeh paagal dil hai jo intezaar kiya karta hai,

berukhi teri humne dekhi hai phir bhi, 
dil tujhe pagaalon jaisa pyaar kiya karta hai,

tu hi tu kyun humein bhaati hai,
iss baat se dil pareshan kiya karta hai,

suna tha pyaar andha hota hai jahaan walon se,
tujh ko chahaa hai to aitbaar yeh dil kiya karta hai,

tu chahe ya na chahe humein,
phir bhi dil tujhe diwaano sa pyaar kiya karta hai,

pyaar karna kisi ke, bas mein nahi hai,
esliye dil deke duhaai zamaana, diya karta hai,

raaj ne pyaar sirf tujhse kiya yeh tujhe malum hai,
phir kyun humein begaano mein shumaar kiya karta hai.

jab waqt badal jata hai to raahein badal jaati hain

jab waqt badal jata hai to raahein badal jaati hain, 
ache-ache logon ki nigahein badal jaati hain, 
wafaein badal jaati hain, duaein badal jaati hain, 
jab waqt badal jata hai to raahein badal jaati hain. 

haath chhut jaate hain, saath chhut jaate hain, 
aankhon se askh behte hain, dil bhi tutt jaate hain, 
umeedein tutt jaati hain, chahatein badal jaati hain, 
jab waqt badal jata hai to raahein badal jaati hain. 

aas chhut jaati hai, vishwas tutt jaata hai,
jab naye rishte bante hain, to puraane chhut jaate hain,
dil fariaad karta hai par aahein badal jaati hain, 

jab waqt badal jata hai to raahein badal jaati hain. 

har baar tute mere sapne

pyaar karna chaaha kai baar,
kai baar hua dil bekraar,

har baar dil torda sabne,
har baar tute mere sapne,

sabhi meri bebasi par khilkhilate hi the,
gulshan mein phool to bahut the,
meri kismat mein kaate hi the. 

struggle between the heart and the head

the long suffering struggle
between the heart and the head,
my long suffering heart
every single tear I have shed.

its way due time
to forget my past,
let go of the hurt
and move on at last.

the past is what it is
and thats where it should stay,
no within my broken heart
waiting to be released one day.

I need to learn
how to well and truly let go,
accept my mistakes
and go with the flow.

it sure is easy
to be writing in word form,
what about real life
is my preaching worth to conform?

all I know is this
and that is nothing at all,
I just have to take it as it comes
get up when I fall. 

be-inteha mohabbat jisse ki bewafa banya ussi ne

banke zindagi meri, mujhko maut se milaya ussi ne,
ke be-inteha mohabbat jisse, bewafa banya ussi ne,

jo kehte the naam dil pe likha hai mera uske,
likh ke phir kagaz pe naam, mujhko jalaya ussi ne,

pehle dikha ke sapne mujhko sitaron pe le gaye,
phir tord ke dil mera aashman se mujhe giraya ussi ne,

dikhayi mohabbat itni ki main ho gaya deewana uske,
phir jord ke rishta gair se, yeh bharam bhi mitaya ussi ne,

sochta tha main.. wafadaar hai woh bhi meri hi tarah,
par de ke dard-e-judaai phir mujh ko sataya ussi ne,

chaha.. roshan 
karna uski zindagi ko jab maine,
tord ke rishta mohabbat ka, apna asli chehra dikhaya ussi ne. 

try your best and stick out from the rest

I am tired of everything being the same,
one more life, another pointless game. 


I am tired of looking at the knife,
hoping to die, ending this meaningless life.


I am tired of looking for someone to hold,
when there’s no one there, so 
I am left in the cold.

I am wanting to end this life I lead,
but instead I stay while in my dreams I fled.

I wish I could just up and die,
no one would care, I was only to cry.

I wish I could help everyone,
but instead I can't, their led to the gun.

I want to be the hero and save the day,
instead I have saved zero, more lives to pay.

I don’t want you to hurt everyone out there,
just know that I am here and will forever care.

for I have been hurt countless times before,
and yet it just comes back, always haunting me for more.

I don’t want you to suffer and hurt like I did,
for there’s to much pain, I refuse to die as a kid.

and I hope you do the same because life has much to give,
it would be a shame, if you decided not to live.

so the message to this poem is to always try your best,
and try to be different, stick out from the rest.

because you are strong and some day you’ll see,
that you can belong just as it came to me.

kayi log milte hain door jaane ke liye

kayi log milte hain hansaane ke liye, 
door jaa ke hamesha yaad aane ke liye, 

tanhai mein yaad ban ke sataane ke liye, 
ek baar mil kar phir hamesha kho jaane ke liye, 

raaston ke nishaan bana kar mitaane ke liye, 
kisi sheher ko abaad kar ke, veeraan chord jaane ke liye, 

kayi log milte hain hansaane ke baad rulaane ke liye…! 

iss dil ka thikana samjh mein nahi aata

kabhi zami kabhi aasman, samjh mein nahi aata,
iss dil ka thikana bhi, samjh mein nahi aata,

meri aankhein uski yaadon ke chirag to nahi,
kyun bas wahi nazar, samajh mein nahi aata.

chahe anchahe mein usse yaad kiya karta hoon,
yeh lat hai ya aadat, samajh mein nahi aata.

kamabakhat aashiqi ne jeena haram kar diya,
usse bhoolun ya apni jaan doon, samajh mein nahi aata.

iss taraf mera ghar hai us taraf uska ghar,
idhar jaun ya udhar, samajh mein nahi aata.

pagal sa banke reh gaya sab soch soch kar,
pehle hansu ya roun, samajh mein nahi aata.

liffafa fat chuka, mamla bhi kafi purana ho gaya,
usse doon ya khat jala doon, samajh mein nahi aata.

uski wafa pe ab mujhe shaq hone laga hai,
usse yaar kahun ya gaddar, samajh mein nahi aata.

gairon ke sath baithe hain ajeej-o-mohtarma,
kaise karun dua-salam, samajh mein nahi aata.

iss uljhe dil ko yaaon, kuch aur na samajh,
phir khud samajh jayega, jo samajh mein nahi aata.

suno aisa nahi karte

safar tanha nahin karte,
suno! aisa nahin karte,
jise shaaf rakhna ho,
usse maila nahin karte.

teri aankhien izazat dein,
to hum kya kya nahin karte,
bohat ujde huye ghar par
bohat socha nahin karte.

safar jis ka mukaddar ho,
usse roka nahin karte,
jo mil kar khud se kho jaye,
usse ruswa nahin karte.

chalo tum raaz ho apna,
tumhein khafa nahin karte,
yeh unchahe peid kaise hain,
kahin chhaya nahin karte.

jo dhun ho kar guzarne ki,
to phir socha nahin karte,
kabhi hansne se darte hain
kabhi roya nahin karte.

subah se pooch lo yaaron,
ki hum soya nahin karte.

aksar samay thehar sa jaata hai kyon

bhooli bisri yaadien 
aksar yaad aati hain kyon? 
bhool gaya tha jisko dil 
aksar khyalon mein aata hai kyon? 

sikh liya tha jiske bina rehna 

aksar uski yad mein rona itna bhata hai kyon?
purani baaton ko yaad karke 
aksar dil bhar sa aata hai kyon?

woh ab bhi chahti hai mujhe 

aksar aisa khyaal aata hai kyon?
uske sath ko yaad karke 
aksar dil behal sa jaata hai kyon?

masoom chehra uska 
aksar palak jhapka ke dikh jaata hai kyon?
bholi addaon ko yaad kar ke 
aksar samay thehar sa jaata hai kyon?

kyon hum unki yaadon ko  
bhula naa paye hain abhi tak?
aur unko yaad kar ke 
aksar ungliyan chal jaati hai kyon? 

milne ke dua karke milne se darte hain

milne ke dua karke, 
milne se darte hain,
phir bhi har mord pe, 
bas tumhein dhoonda karte hain,

sochte hain bas ek jhalak
hi dikh jaaye to bahut hai,
kya karein hum to... 
deewanepan ki bhi hadd karte hain. 

kahin door jaana chahta hoon

jaana chahta hoon iss jahan se
kahin door, kahin door, kahin door..
aisi jagah jahan pyaar ho nafrat nahin,
aisi jagah jahan sukoon ho dard nahin,

wahan jahan sab ka samman hota ho,
wahan jahan koi bhi kisi ke liye gair nahin,
jaana chahta hoon iss jahan se,
kahin door, kahin door, kahin door..

aisi jagah jahan chand suraj ho sath-sath,
aisi jagah jahan chhute na kisi se kisi ka sath,
wahan jahan kisi ko kisi se bair nahin,
jaana chahta hoon iss jahan se,
kahin door, kahin door, kahin door..

aisi jagah jahan anchal ki chaaon ho, kardakti dhoop nahin,
aisi jagah jahan sham to ho par andhera nahin,
wahan jahan sab ko ek doosre par aitbar ho,
wahan jahan kisi ko kisi se shikva nahin, 
jaana chahta hoon iss jahan se,
kahin door, kahin door, kahin door..


dil mera ek kaagaz ka naau tha

unki chaahat se roshan dil ka kona-kona tha,
mehakti thi saansein jab meri
har mahina sawan ka mahina tha.

unki muskurahaton ke phool khila karte the,
unki jheel si aankhon mein doobta
dil mera ek kaagaz ka naau tha.

unke chamak se chaand bhi khes khata tha,
rakhte the chupakar duniya ki nazron se jinko
woh ek aisa anmol nagina tha.

unki aankhein dekh kar gham gayeb ho jate the,
dekhte the apne pyar ka darpan jismein hum,
woh aisa ek dilkash aaina tha.

phir wohi hua jo hota aaya hai...
tord diya dil mera unhone
aakhir unke liye yeh mehaz ek khilona tha.

kash tumhein pata hota

khuda ne mujhe bhi saanse di hain.. kash tumhein pata hota,
dil mein dhardkti teri dhardkane.. kaash tumhein pata hota.

nazron mein jo baat chipayi thi humne.. tumne na pardhi,
kaash tum nazaron ki baat samjhte.. to tumhein pata hota.

saare khwaboon ko mere tord ke chale gaye tum aise,
raaton ki neend uurd gayi meri.. kaash tumhein pata hota.

takleef de kar chal diye ho tum humein yun-o-bewafa,
par takleef kya hoti hai berehem.. kaash tumhein pata hota.

rishton ke koi maayine na the tere liye kabhi.. maine jaana,
aur har ek rishte ko pujta hai raaj.. kaash tumhein pata hota.

woh log bahut khushkismat the

woh log bahut khushkismat the,
jo ishq ko kaam samajhate the, 
ya kaam se aashiqi karate the,

hum jeete ji masaruuf rahe,
kuch ishq kiya kuch kaam kiya,
kaam ishq ke aade aata raha,
aur ishq se kaam ulajhata raha,

phir aakhir tang aakar hum ne,
donon ko adhuura chhord diya.

let that bird fly..

let that bird fly.. 
and let him fight with 
the stormes in the sky,

the roades are going to be very long 
and difficult for him,

but dont worry,
with time he will learn the lessons of life.

he will learn to be stronger,
that bird gotta fight on his own 
if he wanna stay alive.

I still owe you

last night I have read again
those old messages of yours,
surely you didn’t think that 

I had still preserved them somewhere.

I have seen again among the consumed lines
your weeping and your smiles,
your running to me without breath
and your sad eyes.

I thought that it would have been beautiful
to read them once more with you.
I have not responded to you before,
and I don’t know if now it is too late,
surely, it may be so...

leave in me at least that memory
that continuously revives my being.
let your smile live inside my soul,
let your hair go down on your shoulders
as I always liked . .

so much time have passed away,
who knows now where you are
and how you are living….?
leave in me the memories of the days
of happiness that you have given me.

leave me…

close the door, while turning your back,
leaves the key as you always
did before going…
and listen… I still owe you…

All Time's Favourite Posts