yeh mumkin to nahi par kya pata aisa bhi ho jaaye

yeh mumkin to nahi par kya pata aisa bhi ho jaaye,
mera tujhse bichardna bas ek khawaab ho jaaye,

karishme bhi hua karte tabhi to yeh umeed hai,
kabhi sochein tujhe aur bas tera deedar ho jaaye,

kiya mehsoos kya tumne, kisi ki yaad mein humko,
kabhi chubhti hai loo, jaisi kabhi barsat ho jaaye,

takaza waqt ka hai ya yahi fitrat hai insaa ki,
gulon sa jo mehkta hai, wohi kyun khaar ho jaaye,

kaseede shaan mein apni hi pardhta ja raha hai jo,
dikhado aaeena, shayad sharminda yaar ho jaaye,

baccha hai sach.. kas ke pakdna tum isska haath,
kahin yeh jhoot ke iss waqt mein tannha na ho jaaye,

jatan bachne ke sare kar chuke hum,
karoge kya gar phirse tumko humse pyaar ho jaaye? 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts