tum nahi aate ab khayalo mein

tum nahi aate ab khayalo mein,
aa jaate to puch leta tumhein bhulane ke tarike,

jaise tumne muje bhulaya, main bhi tumhein bhool jaau,
wakt ki dhool mein humare pyaar ki laash padi hai,

aa jaate to puchh leta, isse jalane ke tarike,
par tum nahi aate ab khayalo mein...

pata hai jab saawan ka musam aaya tha,
to maine usse puchha tha ke…

tumhaare barasne se yeh laash zinda ho jaayega?
na jaane kyun, uss pal woh waapas laut gaya?

gar tum aa jaate to puchh leta,
saawan ki aankh kyun sooni thi?
par tum nahi aate ab khayalon mein...


aur pata hai jab dhoop bhi kadi hone lagi,
to maine usse kaha jara thham jaao,

yaha hammre pyaar ki laash padi hai,
usse chhaw mein le lu,

na jaane kyun, uss pal..
tej hawa aayi aur mitti daal gayi,
gar tum aa jaate to puchh leta…
dhoop ki aankh kyun num thi,
par tum nahi aate ab khayalon mein.

aa jaate to puchh leta hammre pyaar ki laash ko
sahara ki ret mein lipte kab tak rahne doon?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts