umeed naam ka panchhi

ajeeb hai yeh panchhi,
jab bhi koi rishta panapta hai,

yeh panchhi wahi apna dera daalta hai,
sapne haseen dikhata hai,
zindagi rangeen banata hai,

aur khushi se jab rishta joom urdta hai,
yeh apni asliyat dikhata hai..
bina bataaye door urd jaata hai,
apni pahchaan ki boo tak hawa se mita deta hai.

dukh hai iss baat ka….
rishte par asar kar jaata hai, iss kadar ke
nind chhin jaati hai, chain loot jaata hai,

zindagi ghum ke bojh ka dher ban jaati hai,
pal-pal,  jaise yugon si kathhin gujarti hai,

charo pahar aankh se saawan barsta hai,
sabhi jaante hai, iski asaliyat phir bhi….

hai kuch aisa jaadu, iske aahosh mein,
apne rishte se jurdne se….

chahte bhi isse door nahi kar paate hai,
haan bada ajeeb hai, yeh umeed naam ka panchhi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts