huye humko bichade barson

pehle woh ghar jalayein,
phir barisheyein bulayein,
hum ko gale laga ke
kehte hain bhool jayein.

mausam ke yeh ishare,
samjho kabhi to pyare,
ab tord sab niyam hum,
bas jhoomein nachein gayein.

kheton mein phoole sarson,
huye humko bichade barson,
tanhaiyon ki mil kar
aa holi hum jalayein.

hai unka yeh bahana,
kehta hai kya zamana?
phir bhi jo darr lage to
sapno mein aayein jaayein.

kyun geet ga rahe ho,
humko bula rahe ho,
chahat ka hai takaza,
khud aap daude aayein.

apni yahi hai jannat,
hum mannte hain mannat,
julphon mein teri
bas ungliyan ghumayein. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts