har zulm pal raha hai gandhi ke desh mein,
khota sikka bhi chal raha hai gandhi ke desh mein.
hindu ho ya musalmaan, sikh ya isaayi,
har shaks jal raha hai gandhi ke desh mein.
bijli pe giri bijli aur gul ho gayi,
andhera pal raha hai gandhi ke desh mein.
iss desh mein bhale hi behti hazaron nadiyaan,
jal-sankat chal raha hai gandhi ke desh mein.
labalab bhara hua hai godaam mein anaaz,
gareeb haath mal raha hai gandhi ke desh mein.
desh mein hamare gandhigiri ka natak,
safar khoob chal raha hai gandhi ke desh mein.

No comments:
Post a Comment