meri yaadon ke galiyaare ne,
mujhe kis jagah pahuncha diya,
jo thamma tha ek umr se,
jo thamma tha ek umr se,
usse aankh se chhalka diya.
teri zindagi ki kitab se,
teri zindagi ki kitab se,
mujhe jaane kisne mita diya,
meri rooh kisne bhingo di,
meri rooh kisne bhingo di,
mere dil ko kisne bhuja diya.
jise bhoolne mein,
jise bhoolne mein,
maine apni aadhi umr guzar di,
ussi ek shaks ki dastaan,
ussi ek shaks ki dastaan,
koi yaad phir se dila gaya.
mere dil ka ek woh aaina,
mere dil ka ek woh aaina,
jise maine ulat ke tha rakh diya,
ussi aaine ko dikhla diya,
ussi aaine ko dikhla diya,
mere aks ko kyon jala diya.
karun kis khuda se shikayatein,
karun kis khuda se shikayatein,
karun kya sawaal main aapse?
yeh naseeb tha ya majak tha,
yeh naseeb tha ya majak tha,
kyon tumne mujhko bhula diya?
kisi raste ke pathar sa,
kisi raste ke pathar sa,
mujhe raste se hata diya,
mere doston ne wafaaon ka,
mere doston ne wafaaon ka,
kuch iss kadar se sila diya.
aye raaj.. tumne yeh daastan,
aye raaj.. tumne yeh daastan,
in khandharon mein sunayi kyon?
mujhe gum hai mere fasaane ne,
mujhe gum hai mere fasaane ne,
inn patharon ko rula diya.
No comments:
Post a Comment