kahani mein humari, zindagi ka rang aa jaata,
tumhara naam, mere naam ke jab sang aa jaata,
mohabbat hai ki nafrat hai, koi yeh humko samjhaye,
kabhi tu jaan de mujh par, kabhi tu tang aa jaate,
jo bolu jhooth to milti mujhe, malayein phoolon ki,
magar sach bolte hi sar pe mere sang aa jaata,
akele hi chale, daaman pakad kar hum sharafat ke,
nahin to saath chalne ka, sabhi ke dhang aa jaata,
budhapa hai, thakawat hai, magar pehle si chaahat hai,
tujhe bas yaad karte hi, woh noor-o-rang aa jaata,
bitate tum jo zindagi sang in gulabon ke,
to kaanton beech rehne ka tumhe bhi dhang aa jaata.

No comments:
Post a Comment