akela tha main, akela hi reh gaya

akela tha main, akela hi reh gaya,
zindagi ke mayane to samajh gaya,
par apni hi zindagi main khud gumnam ban gaya,
akela tha main, akela hi reh gaya..

kafilein to maine kayi peeche chord aaya,
par apni manzil ko pehchan hi na paya,
akela tha main, akela hi reh gaya..

apno ki dagabazi main itna ulajh gaya,
ki khud ko humesha ke liye sunne pan ki khamoshi me le gaya,
akela tha main, akela hi reh gaya..…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts