waqt se pehle kambakt yeh maut bhi aati nahi

meri tanhaiyon ka ab koi bhi saathi nahi,
woh deepak main baan gaya jiski koi lau nahi.

kaise karu umeed main ki aayenge woh kareeb kabhi,
yaad bhi ab to unki paas mere aati nahi.

bhool jaate hain jaane kaise log yahan insaano ko,
humse to baat bhi unki bhooli koi jaati nahi.

dil bhi pasijega kabhi aisi zalim duniya ka,
aisi bhi humko surat nazar koi aati nahi.

pehle to aadat daal di aur uspe yeh sitam,
kehne par bhi ab duniya zulm koi dhati nahi.

humein badal ya logon ko khuda mere sun le arz,
hum jaiso ko duniya teri raas kabhi aati nahi.

mord kar muh zindagi se kya karegi yeh raaj,
waqt se pehle kambakt yeh maut bhi aati nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts