bure hai to kya humein woh phir bhi pyaare hain

zinda bhi to hum apne hi kaatil ke sahare hain,
bure hai to kya humein woh phir bhi pyaare hain.

ke jin khwaabon se ankhon mein chubhan hoti hai,
haan wahi khwab to meri nigahon ke ujale hain.

dukhakar dil ko poochhte hain haal kaisa hai,
kaise keh dein ke hum aapke hi gum ke mare hain.

yeh kaise aajmaish hai dariya mein humari,
hum doobne wale hain woh phir kinare hain.

yeh to nahi kehta mujhe tum yaad karo,
kya woh pal bhi bhula doge jo sang-sang guzare hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts