phirbhi nagme khushi ke hi gaate rahe

jaan kar kyon mujhe woh staate rahe,
kyon sada hi mera dil jalate rahe,
pyaar ki raah mein silsila yeh raha,
roothte woh rahe manate hum rahe.

raat bhar yaad mein unki rote rahe,
har gadhi jo humein bas staate rahe,
aag aisi lagi zindagi mein ke hum
bas bhujaate rahe, bas bhujate rahe.

kat gayi umar auron ko khush rakhne mein,
log the ki mera dil dukhate rahe,
phoolon ne kar diya humko zakhmi bahut
hum kaaton se daaman bachate rahe.

usne deke daga humko apna kaha,
hum the ki baaton mein aate rahe,
kar diya ruswa usne bhari mehfil mein,
raaz-e-dil jise hum batate rahe.

kitne nadaan the jo samajh na sake,
khwaab ki neev par ghar banate rahe,
zindagi ne dikhayi bahut talkhiyan,
phir bhi nagme khushi ke hi gaate rahe.

dard-o-gam saare apne chupaate huye
muskurate rahe muskurate rahe..!! 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts