tute dil mein umeed ka koi kinara na raha,
zinda rehne ka yahaan koi bahana na raha,
dil mein koi khawaish, koi armaan bhi na raha,
mere labon pe ab us sitamgar ka naam na raha,
main unse miloon, yeh bechaini bhi jati rahi,
in aankhon mein bhi kisika intezaar na raha,
raat ka ek phool hoon, murjha jaunga subha tak,
ab to mujhse khusboo ka woh bahana bhi na raha,
gazalon aur nagmon ki baatein kya karein,
dil mein khud ko gugunane ka armaan na raha,
lau hoon, bujh jaunga subah ke ujale mein,
mujhe kabhi ujaalon se koi lagaw na raha.

No comments:
Post a Comment