hai yehi dard ki intehaan sayad

jab nigahein woh humse churane lage,
tab kahi hosh apne thikane lage,

na nikle kabhi bahar-e-ulfat se hum
dubte-dubte bhi jamane lage,

hai yehi dard ki intehaan sayad
rote-rote jab hum muskurane lage,

banke humdard mili thi mujhse
aur hum unhein haal-e-dil sunane lage,

barshon ke baad aaj khulke muskuraye to
maare khushi ke aankh se aanshu aane lage,

andaaz-e- wayan unka itna lacheez tha
baatein mehakti, khushbu lafz, suhane lage,

jab haar gaye baji mukadder se hum,
maat par apni khud muskurane lage.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts