aaj phir se mehfil mein tera naam tha,
aaj har ek juba par wahi kalaam tha,
thi sab ki nigahein bas meri taraf,
par main aisa raha jaise gumnaam tha.
har ek nazar mein kasak thi shayad tere liye,
hua yeh ehsaas mujhko bahut main badnaam tha,
sab ne poocha mujhe.. tha woh kya maajra,
main bas muskurata raha yeh mera ilzaam tha.
thi kahaani jo teri sunata kya main,
naam tera zuba pe phir kyun lata main,
tu hai ab kissi aur ki mohabbat...
kyun kissi ki izzat pe daag lagata main.
kya batata main aakhir khata thi meri,
ki wafaein bahut yeh khata thi meri,
ab akela rahoon main is bheed main,
ummra bhar ko yehi ek saza hai meri.
jaane kya soch kar ab jiye ja raha hoon,
aakhri jaam kab se piye jaa raha hoon,
dekh loon tujhko hai yeh khwahish meri,
bas aankhon se moti diye ja raha hoon.

No comments:
Post a Comment